Teri yaad mere dimaag mein Aise hai basi Na hi behte hain aansu Na hi aati hai hansi Kyun tu gayi aur kahan pe gayi Ye sab mujhko nahi pata Mujhko toh bas koi yahi bata de Ki meri kya thi khata
Teri yaad hai har jagah Teri yaad hai har jagah Nahi milna humara… bewajah
Aashiqui tujhse Yunhi nahi hai Koi na koi, hai wajah (x2)
Teri yaad hai har jagah..
Hona tha jo ho gaya Khona tha jo kho gaya Pyaar mein tere padke Pagal hona hi tha ho gaya
Ab yahi deewanapan sar chadhke bole Main kya karun? Ik chhota sa sawaal hai Main jiyun ya marun
Tanha katega, kaise ye safar Mujh mein zinda tu hai iss qadar Jis ehsaas ko lafzon mein kehna.. Hai mumkin nahi ye, ab mera
Aashiqui tujhse Yunhi nahi hai Koi na koi, hai wajah
Teri yaad hai, har jagah..
Teri yaad mere dimaag mein Aise hai basi Na hi behte hain aansoo Na hi aati hai hansi Kyun tu gayi aur kahan pe gayi Ye sab mujhko nahi pata Mujhko toh bas koi yahi bata de Ki meri kya thi khata
Katra katra, toot raha hoon Ishq mein tere, doob raha hoon Bikhre din hain beparwah raatein hain Kashish kuch ye aisi, bepanah
Aashiqui tujhse Yunhi nahi hai Koi na koi, hai wajah (x2)
Teri yaad hai, har jagah.. Teri yaad hai, har jagah..
Movie / Album | Teraa Surroor |
Language | Hindi |
Lyricist | Shabbir Ahmed |
Singer's | Badshah, Himesh Reshammiya |
Music Director | Himesh Reshammiya |
Label | T-Series |
Year | 2016 |
Starring | Farah Karimi, Himesh Reshammiya, Naseeruddin Shah |
Lyricist : Sameer Anjaan
Singer : Arijit Singh, Neeti Mohan, Suzanne D Mello