Sun Le Mere Paayalon Ke Geet Saajana Song Lyrics - Sasural (1961) Lyrics

Sun Le Mere Paayalon Ke Geet Saajana Lyrics from Sasural (1961) Lyrics (hindi) sung by lata mangeshkar. This song is composed by shankar-jaikishan with lyrics penned by shailendra. Sasural (1961) Lyrics (hindi) movie and the songs were released in . Sun Le Mere Paayalon Ke Geet Saajana Lyrics from Sasural (1961) Lyrics: lata mangeshkar sings this hindi song for Sasural (1961) Lyrics film with music by shankar-jaikishan

(Sun le mere paayalon ke geet saajana Aa bula rahi hai meri preet saajana Aaja re aaja re) – (2)

(Woh hasin chaand raat yaad kar Tune jo kahin thi baatein yaad kar) – (2) Waada woh pyaar ka kaise tumane bhula Tu bhi pehali mulaakaat yaad kar Sun le mere paayalon ke geet saajana Aa bula rahi hai meri preet saajana Aaja re aaja re

(Jo bhi shaam aayi dil dukha gayi Kitani baar chaandani jala gayi) – (2) Kar ke koyi jatan, abb toh aaja sajan Mora maane na mann main ghabara gayi Sun le mere paayalon ke geet saajana Aa bula rahi hai meri preet saajana Aaja re aaja re

(Kya bahaar jab talak na aaye tu Chaand kya agar na muskuraaya tu) – (2) Mori baali umar tadape jaane jigar Jab talak laut ke aa na jaaye tu (Sun le mere paayalon ke geet saajana Aa bula rahi hai meri preet saajana Aaja re aaja re) – (2)