Halka Suroor Mukammal Song Lyrics - Yeh Jo Halka Halka Suroor Lyrics

Following is the lyrics of 'Halka Suroor Mukammal ' song from the bollywood movie 'Yeh Jo Halka Halka Suroor Lyrics', the lyrics are written by nusrat fateh ali khan, in the voice of singer nusrat fateh ali khan

Saaqii ki har nigaah pe bal khaa ke pee gayaa Laharon se khelataa huaa lahraa ke pee gayaa

Ai rahmat-e-tamaam meri har khata muaaf Main intehaa-e-shauq mein ghabraa ke pee gaya

Peetaa beghair izn ye kab thii meri majaal Dar-pardaa chashm-e-yaar kii shah paa ke pee gayaa

Zaahid ye merii shokhi-e-rindaana dekhnaa Rahmat ko baaton baaton mein bahlaa ke pee gayaa

Oodi oodi ghataein aati hain Mutribon ki nawaein aati hain

Kis ke gesu khule hain saawan mein Mehki mehki hawaein aati hain

Aao sehn-e-chaman mein raqs karein Saaz lekar ghatein aati hain

Dekh kar unki ankhadion ko adam Maikadon ko hawaein aati hain

Paas rehta hai duur rehta hai Koi dil mein zaroor rehta hai

Jab se dekha hai unki aaknhon ko Halka halka suroor rehta hai

Aise rehte hain wo mere dil mein Jaise zulmat mein noor rehta hai

Ab adam ka wo haal hai har qadam Mast rehta hai choor rehta hai

Ye jo halka halka suroor hai Ye teri nazar ka qusoor hai Ke sharaab peena sikha dia

Tere pyaar ne teri chaah ne Teri behki behki nigaah ne Mujhe ek sharaabi bana dia

Sharaab kaisi khumaar kaisa Ye sab tumhari nawazishein hain Pilayi hai kis nazar se tuune Ke mujhko apni khabar nahin hai

Saara jahaan mast jahaan ka nizaam mast Din mast raat mast sahar mast shaam mast Mast sheesha mast suboo mast jaam mast Hai teri chashm-e-mast se har khaas-o-aam mast

Ye jo saqi har tarah ki tere maikhaane mein hai Wo bhi thodi si jo in aankhon ke paimaane mein hai

Sab samajhta hun teri ish (??) nazar ai saqi Kaam karti hai nazar naam hai paimaane ka

Tera pyaar hai bas meri zindagi

Na namaz aati hai mujhko na wuzoo aata hai Sajdaa kar leta hun jab saamne too aata hai

Main azal se bandaa-e-ishq hun Mujhe zuhd-o-kufr ka gham nahin Mere sar ko dar tera mil gaya Mujhe ab talash-e-haram nahin

Meri bandagi hai wo bandagi Jo ba qaid-e-dair-o-haram nahin Mera ik nazar tumhein dekhna Baa khuda namaz se kam nahin

Tera pyaar hai bas meri zindagi

Qayamat mein tera dagh-e-muhabbat lekar uthuunga Teri tasveer us dam bhi kaleje se lagi hogi

Kyunki

Tera pyaar hai bas meri zindagi

Teri yaad hai meri bandagi Jo teri khushi wo meri khushi Ye mere junoon ka hai moajzaa Jahan apne sar ko jhuka dia Wahan maine kaaba bana dia

Mere baad kisko sataaoge ??

Dil jalon se dil lagi acchi nahin Rone walon se hansi acchi nahin Dillagi hi dillagi mein dil gaya

Oh mere dil gaya dil gaya dil gaya

Khuda ke liye apni nazron ko roko warna Mera dil gaya dil gaya dil gaya

Meri tarah khuda kare tera bhi kisi per aaye dil Too bhi kaleja thaam ke kehta phire ke haye dil

Mera dil gaya dil gaya dil gaya

Dillagi hi dillagi mein dil gaya Dil lagaane ka nateeja mil gaya Main to rota hun ke mera dil gaya Tum kyun hanste ho tumhein kya mil gaya ??

Accha phir…Nusrat Fateh Ali Khan

Mere baad kisko sataaoge ?? Mujhe kis tarah se mitaaoge Kahan jaa kar teer chalaoge Meri dosti ki balayein lo Mujhe hath utha kar duaayein do Tumhein ek qaatil bana dia

Mujhe dekho khwaish-e-jaan-e-jaan Main wahi hun anwar-e-neem jaan Tumhein itna hosh tha jab kahaan Na chalao is tarah tum zubaan Karo mera shukria meherbaan Tumhein baat karna sikha dia

Ye jo halka halka suroor hai Ye teri nazar ka qusoor hai Ke sharaab peena sikha dia