Na Tujhe Phir Dekhu, Na Tujhe Phir Sochu Song Lyrics - Woh Bewafa Lyrics

Na Tujhe Phir Dekhu, Na Tujhe Phir Sochu Lyrics from Woh Bewafa Lyrics (bollywood) (2009) sung by agam kumar nigam. This song is composed by nikhil with lyrics penned by praveen bhardwaj. Woh Bewafa Lyrics (bollywood) movie stars agam kumar nigam and the songs were released in 2009. Na Tujhe Phir Dekhu, Na Tujhe Phir Sochu Lyrics from Woh Bewafa Lyrics: agam kumar nigam sings this bollywood song for Woh Bewafa Lyrics film with music by nikhil

(Na tujhe phir dekhu, na tujhe phir sochu Na teri yaad aaye, na meri jaan jaaye) – (2) Main mohabbat ki aakhari nishaani bhi mita aaya hoon – (2) Teri tasweer jalaake raakh dariya mein baha aaya hoon – (2) Na tujhe phir dekhu, na tujhe phir sochu Na teri yaad aaye, na meri jaan jaaye

Waise bhi toh abb kuchh saansein baaki hai Thode se din thodi raatein baaki hai Dard bahot hai par jine ka bhi dil hai Sab kehate iss haal mein jina mushkil hai Bayaan kaise karu meri jo haalat hai Magar dil keh raha yahi toh chaahat hai Main toh chaahat ki aakhari nishaani bhi mita aaya hoon – (2) Teri tasweer jalaake raakh dariya mein baha aaya hoon – (2) Na tujhe phir dekhu, na tujhe phir sochu Na teri yaad aaye, na meri jaan jaaye

Jhute waadon ke jakhmon se ghaayal hoon Main deewaana kya haan main paagal hoon Abb bhi tumse khaabon mein milata hoon main Abb bhi thodi yaad hai aur jalata hoon main Magar sab keh rahe bhula du uss pal ko Main jo pal ji liya bhula du uss pal ko Main toh uss pal ki aakhari nishaani bhi mita aaya hoon – (2) Teri tasweer jalaake raakh dariya mein baha aaya hoon – (2) Na tujhe phir dekhu, na tujhe phir sochu Na teri yaad aaye, na meri jaan jaaye Main mohabbat ki aakhari nishaani bhi mita aaya hoon – (2) Teri tasweer jalaake raakh dariya mein baha aaya hoon – (3)