Subha Ki Train Song Lyrics - Toilet- Ek Prem Katha

Preet teri sar chadhi hai Haule haule Subah ki chai mein Adrakh jaise khaule (X1)

Sardi mein jaise dhup ka Yun karun tera intzar Chalu chand pe hoke Tere sang sawar

Subah ki train Pyar tera subah ki train Jaagu saari rain pyar tera Subah ki train

Subah ki train Pyar tera subah ki train…

Suraj se pahle nikal pade Duniya chahe jal mare..Haaye (X1)

Chhuk chhuk sa dil kare Ruk ruk ke ye badhe (X1)

Kabhi dhadkan bhi bani toofan mail..

Subah ki train Pyar tera subah ki train Naa neend na chain Pyar tera subah ki train Subah ki train Pyar tera subah ki train

Sard hawaon me jaise Koyle ki aanch tu Os se bheenga jo Kohre ka kanch tu (X1)

Bheena bheena sa tu dhuaan Jheena jheena ye man hua (X1)

Tu engine main hoon jaise teri rail..

Subah ki train Pyar tera subah ki train Raahen dekhe nain Subah ki train

Subah ki train Pyar tera subah ki train…