Sheeshe Ka Samundar Song Lyrics - The Xpose Lyrics

Sheeshe Ka Samundar Lyrics from The Xpose Lyrics (hindi) sung by ankit tiwari. This song is composed by himesh reshammiya with lyrics penned by sameer anjaan. The Xpose Lyrics (hindi) movie and the songs were released in . Sheeshe Ka Samundar Lyrics from The Xpose Lyrics: ankit tiwari sings this hindi song for The Xpose Lyrics film with music by himesh reshammiya

(Sheeshe ka samundar paani ki deewarein – 2 Maaya hai bharam hai mohabbat ki duniya Iss duniya mein jo bhi gayaa woh to gaya) – 2 Ho sheeshe ka samundar paani ki deewarein

Barf ki reton pe shararon ka thikana Garm sehraaon mein narmiyon ka fasaana Yaadon ka aaina uthta hai jahaan Sach ki parchaaiyan har jagah aati hai nazar Sone ke hain baadal pattharon ki barish Maya hai bharam hai mohabbat ki duniya Iss duniya mein jo bhi gayaa woh to gaya Ho seeshe ka samundar paani ki deewarein

Dil ki iss duniya mein sarhadein hoti nahi Dard bhari aankhon mein raahatein soti nahi Jitne ehsaas hain an-bujhi pyaas hai Zindagi ka falsafa pyaar ki panahon mein chhupa Dhup ki hawaayein kaanton ke bageeche Maya hai bharam hai mohabbat ki duniya Iss duniya mein jo bhi gayaa woh to gaya Ho shishe ka samandar paani ki deewarein