Paisa shohrat, ye dono musibat Ye na sab ki kismat
Ye bas uski kismat Jisne ki hai jehmat
Uspe rabb ki rehmat Jisne ki hai mehnat
Jisne ki, dj harpz
Paisa shohrat, ye dono musibat Ye na sab ki kismat Ye bas uski kismat Jisne ki hai jehmat Uspe rabb ki rehmat Jisne ki hai mehnat
Kahan se karun shuruwat
Un bheed se bhari tang galiyo se Jahan par pala bada ghuma un galiyo se Ya rishtedaron ki gaaliyon se Ya kaam se mili mujhe taaliyon se
Ya kabhi toot ke rone wali aankho se Ya duniya jeet lene wali baaton se Ya un raaton se jin raat soya nahi Aur likh dala itihas in hathon se
Main shuru se shuruwat karta hoon Ik aam ghar ka main ladka hoon Kar din dugni raat chauguni Pariwar ko khush main rakhta hoon
Apne dum pe bana apne dum pe kara Jo bhi kiya maine liya kissi ka sahara nahi Milta hai mauka ek baar Mera mauka khone ka iraada nahi
Main usse kam usse zyada nahi Main hoon pura khel Main khel ka pyada nahi Hona gareeb paida kismat Marun bhi gareeb to mili zindagi ka fayda nahi
Jo bhi karun main karun main seena thok ke Kisi se na daru kiya aisa koi kaam nahi Jo bhi mili safalta uss safalta ke piche Mere pitaji ka naam nahi
Log milte hai papa se kehte hai Ladke ne kaam se patyal ji naam hai kiya Sach bolun toh isse badhkar IKKA ke liye koi inaam nahi
Paisa shohrat, ye dono musibat Ye na sab ki kismat Ye bas uski kismat Jisne ki hai zehmat Uspe rabb ki rehmat Jisne ki hai mehnat (x2)
Mushkil se mushkil ko hal kiya Kiya aaj maine na kal kiya Ki hai maine jee tod mehnat Na araam ek pal kiya
Huyi mujhse bhi dekho kaafi galtiyan Galtiyon se apni seekh li Jo banaya maine khud hai banaya Na faila ke maine bheek li
Meri gareebi thi mera motivation Kharab thi situation Maine halat ko maat di Apni banayi kuch reputation
Maine khud pe yakeen kiya Kiya yakeen apni udaan pe Himmat se kaam liya chodhi na umeed Nahi toh baitha hota baap ki dukaan pe
Paisa shohrat, ye dono musibat Ye na sab ki kismat Ye bas uski kismat Jisne ki hai zehmat Uspe rabb ki rehmat Jisne ki hai mehnat (x2)
Movie / Album | Shuruwat |
Language | Hindi |
Singer's | Ikka |
Music Director | DJ HARPZ |
Year | 2017 |