Laddoo Song Lyrics - Shubh Mangal Saavdhan

Laddoo Song Lyrics from Shubh Mangal Saavdhan (Hindi) (2017) Laddoo Song Lyrics sung by MikaSingh.This song is composed by Tanishk Bagchi, Vayu with lyrics penned by Tanishk Bagchi, Vayu. Shubh Mangal Saavdhan (Hindi) (2017) movie stars Ayushmann Khurrana, Bhumi Pednekar and the songs were released in 2017.

Haaye boli aisi ke tamatar bhi mangaye To lage jaise mushaayaron mein Baitha sun raha hoon usko

(ma dha ni sa ni dha ma ga…)

Arey aankhein aisi ke Milaaye jab nigahein Yeh nigahein dagmagaaye Kuch samajh mein bhi na aaye dil ko

Par… Jaise mohabbat utthi Seene mein ghus gayi gupti Iss dil ke laddoo bant gaye

Haan… suljhi thodi jab gutthi Khwabon ki ho gayi chhuti Iss dil ke laddoo bant gaye

Haan… chhaata lekar nikle koi ghar se Chhaaye baadal na barse Jaise note 2000 ke leke koi Chhutte ko tarse

Sagar mein pyaasa hai dil Par kar kya sakta hai dil Iss dil ke laddoo bant gaye

Chhota zara hai dil Kaisa ruaan se hai dil Iss dil ke laddoo bant gaye

Haaye aisi taisi aisi huyi ke Emotion ka juice nikla Jhaalar laga ke ghar sajaaya Par connection loose nikla

Haan free mein ho gaye fadde Jeevan ka Happy B’day Iss dil ke laddoo bant gaye

Haaye raahon mein aise gadde Toote hain dil ke haddey Iss dil ke laddoo bant gaye

Boli aisi ke tamatar bhi mangaye To lage jaise mushaayaron mein Baitha sun raha hoon usko

Arey aankhein aisi ke Milaaye jab nigahein Yeh nigahein dagmagaaye Kuch samajh mein hi na aaye dil ko

Par… Jaise mohabbat utthi Seene mein ghus gayi gupti Iss dil ke laddoo bant gaye

Haan… suljhi thodi jab guthi Khwabon ki ho gayi chhuti Iss dil ke… (mmhmm) lag gaye