Pyaar bhara ek khat aaya hain, jisme ghar kee khushbu hain – (2) Padhate padhate bhigee palake – (2) Aankhon se chhalka aansu hain, aansu hain Pyaar bhara ek khat aaya hain, jisme ghar kee khushbu hain
Iss bar piya tum naa aana, yeh gham ham tum seh lenge – (2) Kuchh paise bach jaayenge -2, bititya ke jewar le lenge Likhte likhte aankh bhar aayee -2, dil pe kiska kaabu hain, kaabu hain Pyaar bhara ek khat aaya hain, jisme ghar kee khushbu hain
Budhee maa kee budhee aankhe, dekhe yeh ghar kaa har kona – (2) Bete kee thaalee roj parose -2, jaane kis din ho aana Pal pal man kaa dil rota hain -2, mamata toh bekaabu hain, bekaabu hain Pyaar bhara ek khat aaya hain, jisme ghar kee khushbu hain
Woh pipal kee chhaanv ghaneree, duwaao jaisa apana gaanv – (2) Tumko pukaare gaanv kee galiya -2, mehakte saare phul aur kaliya Birah kee raate katt jaayegee, hone ko roshan jugnu hain, jugnu hain Pyaar bhara ek khat aaya hain, jisme ghar kee khushbu hain Padhate padhate bhigee palake -2, aankhon se chhalka aansu hain, aansu hain Pyaar bhara ek khat aaya hain, jisme ghar kee khushbu hain
Movie / Album | Rehguzar - The Road To Destiny Lyrics |
Language | Hindi |
Lyricist | Nusrat Badr |
Singer's | Abhijeet |
Music Director | Aadesh Shrivastava |
Lyricist : Nusrat Badr
Singer : Shreya Ghoshal, Udit Narayan