Benaam sa yeh dard thehar kyun nahi jaata – (2) Jo beet gaya hai woh gujar kyun nahi jaata Benaam sa yeh dard thehar kyun nahi jaata
Sab kuchh toh hai, kya dhundati rehati hai nigaahein – (2) Kya baat hai main waqt pe ghar kyun nahi jaata – (2) Jo beet gaya hai woh gujar kyun nahi jaata
Woh ek hi chehara toh nahi saare jahaan mein – (2) Jo dur hai, woh dil se utar kyun nahi jaata – (2) Jo beet gaya hai woh gujar kyun nahi jaata Benaam sa yeh dard thehar kyun nahi jaata Jo beet gaya hai woh gujar kyun nahi jaata
| Movie / Album | Ravayaat (Jagjit Singh) Lyrics |
| Language | Hindi |
| Singer's | Jagjit Singh |
| Music Director | Jagjit Singh |