Neele Neele Ambar Par Song Lyrics - Neele Neele Ambar Par

Neele neele ambar par chaand jab aaye Pyaar barsaaye humko tarsaaye Aisa koi saathi ho Aisa koi premi ho Pyaas dil ki bujha jaaye

Neele neele ambar par chaand jab aaye Pyaar barsaaye humko tarsaaye

Ho.. oonche oonche parvat Jab choomte hain ambar ko Pyaasa pyaasa ambar Jab choomta hai sagar ko

Oonche oonche parvat Jab choomte hain ambar ko Pyaasa pyaasa ambar Jab choomta hai saagar ko

Pyaar se kasne ko Baahon mein basne ko Dil mera lalchaaye Koi toh aa jaaye

Aisa koi saathi ho Aisa koi premi ho Pyaas dil ki bujha jaaye

Neele neele ambar par chaand jab aaye Pyaar barsaaye humko tarsaaye

Hey.. chham chham karta sawan Boondon ke baan chalaye Satrangi barsaton mein Jab tan man bheega jaaye

Chham chham karta sawan Boondon ke baan chalaye Satrangi barsaton mein Jab tan man bheega jaaye

Pyaar mein nahane ko Doob hi jaane ko Dil mera tadpaaye Khwab jaga jaaye

Aisa koi saathi ho Aisa koi premi ho Pyaas dil ki bujha jaaye

Neele neele ambar par chaand jab aaye Pyaar barsaaye humko tarsaaye