So Gaya Saara Jamaana Song Lyrics - Miss Mary - 1957 Lyrics

So Gaya Saara Jamaana lyrics : So Gaya Saara Jamaana Song from Miss Mary - 1957 Lyrics is sung by lata mangeshkar and composed by hemant kumar,

So gaya saara jamaana nind kyun aati nahi – (2) Ai hawa jaakar use tu saath kyun laati nahi So gaya saara jamaana nind kyun aati nahi, so gaya

Chaand pehale bhi nikalata tha magar aisa na tha – (2) Aaj aisi baat kyun hai, kuchh samajh aati nahi So gaya saara jamaana nind kyun aati nahi, so gaya

Chaandani kuchh chaand se kehkar jamin par aa gayi – (2) Jaane kya dekha yahaan abb laut kar jaati nahi So gaya saara jamaana nind kyun aati nahi Ai hawa jaaka use tu saath kyun laati nahi So gaya saara jamaana nind kyun aati nahi, so gaya