Brindaavan Ka Krishna Kanhaiya Song Lyrics - Miss Mary - 1957 Lyrics

Brindaavan Ka Krishna Kanhaiya lyrics from Miss Mary - 1957 Lyrics is a hindi movie , this movie released in . The soundtrack album is composed by hemant kumar.

Brindaavan ka krishna kanhaiya, sab ki aankhon ka taara – (2) Man hi man kyun jale raadhika, mohan toh hai sabka pyaara – (2) Brindaavan ka krishna kanhaiya, sab ki aankhon ka taara

Jamana tat [par nand ka laala jab jab raas rachaaye re -2 Tan mann dole kaanha aisi bansi madhur bajaaye re Sudh budh bhuli khadi gopiya jaane kaisa jaadu daara Brindaavan ka krishna kanhaiya, sab ki aankhon ka taara

Rang salon aisa jaise chhaayi ho ghat saawan ki -2 Teri main toh huyi deewaani man mohan man bhaavan ki Tere kaaran dekh saaware chhod diya maine jag saara Brindaavan ka krishna kanhaiya, sab ki aankhon ka taara Man hi man kyun jale raadhika, mohan toh hai sabka pyaara Brindaavan ka krishna kanhaiya, sab ki aankhon ka taara