Maana Ke Hum Yaar Nahin Song lyrics - Meri Pyaari Bindu

Maana ke hum yaar nahin Lo taiy hai ke pyaar nahin Maana ke hum yaar nahin Lo taiy hai ke pyaar nahin

Phir bhi nazreein na tum milaana Dil ka aitbaar nahi Maana ke hum yaar nahi..

Raaste mein jo milo toh Haath milaane ruk jaana..

Ho… Sath mein koi ho tumhare Door se hi tum muskaana

Lekin muskaan ho aisi Ki jsimein ikraar nahi (x2)

Nazroon se na karna tum bayaan Woh jisse inkaar nahi.. Maana ke hum yaar nahi..

Phool jo band hai panno mein Tum usko dhool bana dena

Baat chhide jo meri kahin Tum usko bhool bataa dena

Lekin wo bhool ho aisi Jis’se bezaar nahin (x2)

Tu jo soye toh meri tarah Ik pal ko bhi karaar nahin Maana ki hum yaar nahi…