Main Khiladi Tu Anari Lyrics / Hindi / Alka Yagnik
Zubaan Khamosh Hoti Hai Song Lyrics
Meaning and listening notes
Zubaan Khamosh Hoti Hai is a Hindi movie song from "Main Khiladi Tu Anari." The lyrics describe the silent yet profound expression of love between two individuals.
Interpretation
This song explores the idea that true love often communicates beyond words, through glances and unspoken feelings, leading to a heartfelt realization of affection.
Listen forthe duet format with male and female vocalists exchanging linesthe repeated phrase dekho dekho dekho mujhe pyaar ho gayaimagery of eyes and silent gestures conveying deep emotionthe progression from initial quietness to an open declaration of love
Find more like thiszubaan khamosh hoti haimain khiladi tu anarihindi movie songalka yagnikkumar sanupyaar ho gayanazar se kaam hota haimohabbat naam
Lyrics
--male--
Zubaan khaamosh hoti hai, nazar se kaam hota hai - 2
Isi pal ka zamaane mein mohabbat naam hota hai
Dekho dekho dekho mujhe pyaar ho gaya
Jaane kab kaise ikraar ho gaya
--female--
Zubaan khaamosh hoti hai, nazar se kaam hota hai - 2
Isi pal ka zamaane mein mohabbat naam hota hai
Dekho dekho dekho mujhe pyaar ho gaya
Jaane kab kaise ikraar ho gaya
--male--
Haan, dekho dekho dekho mujhe pyaar ho gaya
Jaane kab kaise ikraar ho gaya
--female--
Yeh voh ehsaas hai jisko na lafzon ki zaroorat hai
Jisse paakar lage saara zamaana khoobsurat hai
Zamaana khoobsurat hai
--male--
Mohabbat naam hai jiska adaaon mein dikhaayi de
Teri dhadkan ki har sargam mein yeh mujhko sunaayi de
Haan yeh mujhko sunaayi de
Mere honton pe jab tere, labon ka jaam hota hai - 2
Isi pal ka zamaane mein mohabbat naam hota hai
--female--
Dekho dekho dekho mujhe pyaar ho gaya
Jaane kab kaise ikraar ho gaya
--male--
Haan, dekho dekho dekho mujhe pyaar ho gaya
Jaane kab kaise ikraar ho gaya
--female--
Badal jaate hai sab aasaar jab yeh pyaar hota hai
Bina bole hi chaahat ka haseen izhaar hota hai
Haseen izhaar hota hai
--male--
Khayaalon ki haseen vaadi mein jab tum gungunaati ho
Meri saanson ke dariya mein kayi toofaan laati ho
Kayi toofaan laati ho
--female--
Bahut bechainiyon mein bhi bada aaraam hota hai - 2
Isi pal ka zamaane mein mohabbat naam hota hai
Dekho dekho dekho mujhe pyaar ho gaya
Jaane kab kaise ikraar ho gaya
--male--
Zubaan khaamosh hoti hai, nazar se kaam hota hai
--female--
Zubaan khaamosh hoti hai, nazar se kaam hota hai
Isi pal ka zamaane mein mohabbat naam hota hai
--male--
Dekho dekho dekho mujhe pyaar ho gaya
Jaane kab kaise ikraar ho gaya
--female--
Dekho dekho dekho mujhe pyaar ho gaya
Jaane kab kaise ikraar ho gaya
--male--
Haan, dekho dekho dekho mujhe pyaar ho gaya
--female--
Jaane kab kaise ikraar ho gaya
About this song
Zubaan Khamosh Hoti Hai lyrics from Main Khiladi Tu Anari Lyrics is a hindi movie, this movie released in. .
