Yeh duniya ek sabse bade loser ki hai dastan Usko tha vardan fatti rahegi Aur hamesha rahega woh pareshan
Struggle aur kangaali mein hi nikalega uska sara jeevan Aur koi nahi yeh badnaseem bhai sahab main hi hoon woh mahan
Hamesha himmat thi laachar Aur honsle the mere bimaar Failure ke sagar mein khali pada tha Umeedon ka bichaya jaal
Darta tha yaar kahani ka sala nikalega Diya nahi koi saath Ya mere sare pay notes sacrifices ho jayeinge yun bekaar
Koi function mein jata nahi tha Kyunki dhang ke kapde nahi the Aur jhoot bolta tha doston se Ke samaj kaam mein fasa hua hoon na be
Day by day akele kaatne ko daudta tha yeh shehar Bombay Aur kitni zor se chikhun ki aapko meri aawaz sunayi de
Lalchata tha apni basic zarooraton ki cheezon ko dekh dekh Chai pe jee raha tha jab dost kha rahe the cakes
Takes aur protein shakes jaise taise phone ko chala raha tha Laga laga ke cello tapes Chillaron ki aawaz se hi hamesha bajti rehti thi meri jeb
Sab dete hain prawachan kyunki unki life chal rahi hai tanatan Lekin jab halat ho jaye tang saare raaste ho jaye band
Shakal ka udaa hua ho rang aur udaas rehta ho mann Tab jhand samajh mein aata hai koi bhajan aur motivation
Fir kaahe ka vyavhar aur kon saale yaar rishtedaar Woh baat karte bhi hain sambhalkar Kahin yeh wapis mang na le udhaar Ab toh thaan liya tha kitna bhi
samay mujhe karde lachaar Is war mein toh at least nahi dalne wala hoon main apne hathyaar
Dhundli thi rahein aur anjana tha safar Kismat ka kyun barsa mujhpe aisa kaher Bejaan thi zindagi aur khuda tha bekhabar Zindagi se haara hoon main hoon aisa loser
Kisi ki bhi shakal pe nahi likha rehta hai unka sach Isliye ankhein meech kar mat karna kisi ko bhi yunhi judge Ho sakta hai isiliye kho raha hai woh baar baar apna dheeraj Kyunki shayad anaaj lene ke paise bhi ni kar pa raha hai behcara kharch
Kaam milne ki charcha ko ab ek ho gaya tha arsa Yeh woh badal the jo garja par kabhi nahi tha sala barsa Maa ko ek choti si khushkhabri sunane salon main tha tarsa Phir jhooth bol diya karta tha abey marta kya na karta
Phir akela hua toh pata laga Mera himmat hi mera asli saathi hai Aur iss ladai ko ladne ke liye Mera khud ka saath hi mera liye kaafi hai
Ek aawaz bolti thi khatam nahi hua be Picture abhi baaki hai Har kutte ka din aata hai Saale phir toh tu ek chota haathi hai
Dhundli thi rahein aur anjana tha safar Kismat ka kyun barsa mujhpe aisa kaher Bejaan thi zindagi aur khuda tha bekhabar Zindagi se haara hoon main hoon aisa loser
Chikhne ko mann karta tha Koi saala meri halat bhi toh dekho Kutte jaise halaton mein raha hoon Main jaane kitne mahino
Dhang se khaya bhi nahi tha Kitne dino se maine you know Lekin ek baar kisi ke muh se yeh nahi nikla Ki tere ko kuch chahiye Dino
Kyunki asliyat yeh hai Koi bhi nahi chahata tumhara bhala ho jaye Kehne ko sab saath hai Par akele ladni hai meri bhai tere ko ladayi
Par dekhna sab aa jayenge hissa maangne Jab fasal ki hogi katayi Yeh zaroori nahi kisi ki raye ban jaye ab teri sachayi
Main janta hoon kaise ghut ghut ke jheli hai maine ye saza Par dil kehta tha raja bahut jald aane wala hai ek number maza
Sab bhikra hua tha par vishvas tha main fail nahi ho sakta Kyunki ghar pe bhooki pyasi dharne pe baithi hai meri maa
Khud se jag haar ke jayega tu kidhar Tujhko lana padega ladne ka jigar Honge sach sapne bas thoda aur kar sabar Tujhe bhi jeetna hai sun le tu loser
Movie / Album | Loser |
Language | Hindi |
Lyricist | Dino James |
Singer's | Dino James |
Music Director | Dino James |
Label | BeingIndian |