Tum hee mere mandir tum hee meree puja, tum hee dewata ho Koyee meree aankho se dekhe toh samaje ke tum mere kya ho
Jidhar dekhatee hu, udhar tum hee tum ho Na jane magar kin khayalo me gum ho Mujhe dekhakar tum jara muskura do Nahee toh mai samajungee muj se khafa ho
Tum hee mere mathe kee bindiya kee jilmil Tum hee mere haatho ke gajaro kee manjil Mai hu yek chhoti see matee kee gudiya Tum hee paran mere, tum hee aatma ho
Bahot rat bitee, chalo mai sula du Pawan chhede saragam mai loree suna du Tumhe dekhakar yeh khayal aa raha hain Ke jaise farishta koyee so raha ho
| Movie / Album | Khandaan Lyrics |
| Language | Hindi |
| Lyricist | Rajendra Krishan |
| Singer's | Lata Mangeshkar |
| Music Director | Ravi |
Lyricist : Rajendra Krishan
Singer : Mohammad Rafi
Lyricist : Rajendra Krishan
Singer : Asha Bhosle, Mohammad Rafi
Lyricist : Rajendra Krishan
Singer : Lata Mangeshkar