(Jab koyi baat bigad jaaye, jab koyi mushkil pad jaaye Tum dena saath mera o humnawaaz) – (2) Na koyi hai na koyi tha jindagi mein tumhaare siva Tum dena saath mera o humnawaaz – (2)
(Ho chaandani jab tak raat, deta hai har koyi saath Tum magar andhero mein, na chhodana mera haath) – (2) Jab koyi baat bigad jaaye, jab koyi mushkil pad jaaye Tum dena saath mera o humnawaaz Na koyi hai na koyi tha jindagi mein tumhaare siva Tum dena saath mera o humnawaaz
(Wafadaari ki woh rasame nibhayenge hum tum kasame Ek bhi saans zindagi ki jab tak ho apane bas mein) – (2) Jab koyi baat bigad jaaye, jab koyi mushkil pad jaaye Tum dena saath mera o humnawaaz Na koyi hai na koyi tha jindagi mein tumhaare siva Tum dena saath mera o humnawaaz
(Dil ko mere huwa yakin hum pehale bhi mile kahi Silsila ye sadiyo ka koyi aaj ki baat nahi) – (2) (Jab koyi baat bigad jaaye, jab koyi mushkil pad jaaye Tum dena saath mera o humnawaaz) – (2) Na koyi hai na koyi tha jindagi mein tumhaare siva Tum dena saath mera o humnawaaz – (2)
| Movie / Album | Jurm (1990) Lyrics |
| Language | Hindi |
| Lyricist | Indeevar |
| Singer's | Kumar Sanu, Sadhana Sargam |
| Music Director | Rajesh Roshan |