Challiya saath kinara, Jeevan nadiya ki dhara, Saara jag jeet ke bande, Aayega yahaan tu haara, (x2)
Kya hai tera kya hai mera? Mohmaaya ka phansaara,
Manva jogiya banjara, (Manva jogiya banjara)
Manva jogiya banjara, Kya hai tera kya hai mera? Mohmaaya ka fansaara,
Manva jogiya banjara..
Tan ke andar jo hai zinda, Mast maula sa kalandar, (x2)
Jeevan maran se pare hai.. Jeevan maran se pare hai, Udta dhuaan sa dhurandar,
Dum kheench ke tu karle, Oghad mann ka guzara,
Manva jogiya banjara, (Manva jogiya banjara)
Manva jogiya banjara, Kya hai tera kya hai mera? Mohmaaya ka fansaara,
Manva jogiya banjara..
Jalti lakdiyon pe baitha, Tu hi shunya hai tu hi satya, (x2)
Ye maati hai mokash ki.. Ye maati hai mokash ki, Janam se lekar antt..
Yehi thor hai humara, Yehi aakhri kinara,
Manva jogiya banjara, (Manva jogiya banjara)
Manva jogiya banjara, Kya hai tera kya hai mera? Mohmaaya ka fansaara..
| Movie / Album | Jogiya Banjara |
| Language | Punjabi |
| Lyricist | Abhishek Verma |
| Singer's | Suraj Purohit |
| Music Director | Suraj Purohit |
| Label | Zee Music Company |
| Year | 2017 |