Mizaaj-e-garami Duwa Hai Aap Ki Song Lyrics - Jaal (1967) Lyrics

Mizaaj-e-garami Duwa Hai Aap Ki Lyrics: Song from Jaal (1967) Lyrics movie sung by lata mangeshkar, mohammad rafi, written by anand bakshi, song is composed by laxmikant-pyarelal.

Mizaaj-e-garami duwa hai aap ki – (2) Badi khubsurat ada hai aap ki, badi khubsurat nigaah hai aap ki Mizaaj-e-garami duwa hai aap ki – (2)

(Khoya khoya sa kuchh gum sum main aajkal rehata hoon har mehfil mein) – (2) Koyi dawa toh batlaao ki dard rehata hai jara sa dil mein Yahin dard-e-dil toh dawa hai aap ki – (2) Mizaaj-e-garami duwa hai aap ki – (2)

Marzi hai aaj kya fiza ki jo aaj mra dil yuun dhadaka rahi hai – (2) Kya ho gaya hai iss hawa ko jo aise mere julfon ko bikhara rahi hai Kare kaya ki aashiq hawa hai aap ki – (2) Mizaaj-e-garami duwa hai aap ki – (2)

Aaye na nind mein mohabbat mein toh raat suhaani koyi kaise gujaare – (2) Sota hai chain se jamaana gujaarata hon main raat gin ginake taare Khata hai ye kisaki khata hai aap ki Mizaaj-e-garami duwa hai aap ki – (2) Badi khubsurat ada hai aap ki, badi khubsurat nigaah hai aap ki Mizaaj-e-garami duwa hai aap ki – (2)