Bhige naina kuchh naa kehna, yeh samandar ashkon kaa kitna gehra Yeh dil apna duba ja raha, bhige naina kuchh naa kehna
Berang sapne bhar naa sake rang jivan me – (2) Kya kare aur kya naa kare dil hai uljhan me Kuchh naa raha gam ke siva, abb jaye toh jaye kahan Yeh dil apna duba ja raha, bhige naina kuchh naa kehna
Jee rahe hai ham aajkal jan mushkil me – (2) Besabab see tanhaiya dil kee mehfil me Kuchh naa raha gam ke siva, abb jaye toh jaye kahan Yeh dil apna duba ja raha, bhige naina kuchh naa kehna Yeh samandar ashkon kaa kitna gehra, yeh dil apna duba ja raha Bhige naina kuchh naa kehna………
| Movie / Album | Game Lyrics |
| Language | Hindi |
| Lyricist | Sandeep Nath |
| Singer's | Deepshikha Sharma |
| Music Director | Bapi-Tutul |