Pal pal dil ke paas tum rehti ho Pal pal dil ke paas tum rehti ho Jeevan meethi pyaas yeh kahti ho Pal pal dil ke paas tum rehti ho
Har shaam aankhon par tera anchal lehraye Har raat yaadon ki baraat le aaye Main saans leta hoon teri khushbu aati hai Ik mehka mehka sa paigham laati hai
Mere dil ki dhadkan bhi tere geet gaati hai Pal pal dil ke paas tum rehti ho Kal tujhko dekha tha maine apne aagan mein Jaise keh rahi thi tum Mujhe bandh lo bandhan mein Yeh kaisa rishta hai, yeh kaise sapne hain Begane ho kar bhi kyun lagte apne hain Main soch main rehta hoon
Dar dar ke kehta hoon Pal pal dil ke paas tum rehti ho
Tum sochogi kyun itna main tumse pyar karun Tum samjhogi deewana main bhi ikraar karun Deewano ki yeh bataein deewane jaante hain Jalne mein kya maza hai parwane jaante hain Tum yoon hi jalate rehna aa aakar khwaabon mein Pal pal dil ke paas tum rehti ho Jeevan meethi pyaas yeh kahti ho Pal pal dil ke paas tum rehti ho
Movie / Album | Blackmail (1973) |
Language | Hindi |
Lyricist | Rajendra Krishan |
Singer's | Kishore Kumar |
Music Director | Kalyanji-Anandji |
Label | Shemaroo |
Year | 1973 |
Starring | Dharmendra, Raakhee |