Pyaar Ka Anjaam Song Lyrics - Bewafaa Lyrics

Pyaar Ka Anjaam Lyrics from Bewafaa Lyrics (hindi) (2005) sung by alka yagnik, kumar sanu, sapna mukherjee. This song is composed by nadeem-shravan with lyrics penned by sameer. Bewafaa Lyrics (hindi) movie stars akshay kumar, anil kapoor, kareena kapoor khan, manoj bajpai, sushmita sen and the songs were released in 2005. Pyaar Ka Anjaam Lyrics from Bewafaa Lyrics: alka yagnik, kumar sanu, sapna mukherjee sings this hindi song for Bewafaa Lyrics film with music by nadeem-shravan

Pyaar ka anjaam kisne socha Hum to mohabbat kiye jaa rahe hain Pyaar ka anjaam kisne socha Hum to mohabbat kiye jaa rahe hain Deewani hum to unke sanam Bas unka naam liye jaa rahe hain

Ishq hamesha hamesha rahega Ishq hamesha hamesha rahega Yeh wada hum to kiye jaa rahe hain

Pyaar ka anjaam kisne socha Hum to mohabbat kiye jaa rahe hain Deewani hum to unke sanam Bas unka naam liye jaa rahe hain

Pyaase dilon ke nazaaron ka mausam Aaya hai dekho bahaaron ka mausam In baahon mein jeena hai humko Jaan se zyada chaahe sanam ko Ab zindagi hai tumhaari tamanna Ab zindagi hai tumhaari tamanna Sab kuch tumhi ko diye jaa rahe hain Pyaar ka anjaam kisne socha Hum to mohabbat kiye jaa rahe hain

Chaaron taraf hain khushiyon ke mele Un ke bina hum akele akele Bechaini hai dil mein jigar mein Aane wala hai mehmaan ghar mein Hum to unhi ke deewangee mein Hum to unhi ke deewangee mein Madhosh hoke jiye jaa rahe hain Deewani hum to unke sanam Bas unka naam liye jaa rahe hain

Jab tak phoolon mein khushboo rahegi Mehki hawa bhi fiza mein bahegi Jab tak yeh aalam gulzaar hoga Dil mein humaare tera pyaar hoga Koyi na jaane hum woh hai aashiq Koyi na jaane hum hai woh aashiq Chaahat ki shabnam piye jaa rahe hain

Pyaar ka anjaam kisne socha Hum to mohabbat kiye jaa rahe hain Deewani hum to unke sanam Bas unka naam liye jaa rahe hain

Ishq hamesha hamesha rahega Ishq hamesha hamesha rahega Yeh wada hum to kiye jaa rahe hain

Pyaar ka anjaam kisne socha Hum to mohabbat kiye jaa rahe hain