Raaz E Dil Unse Chupaya Na Gaya Song Lyrics - Apna Banake Dekho Lyrics

Raaz E Dil Unse Chupaya Na Gaya lyrics from Apna Banake Dekho Lyrics is a bollywood movie , this movie released in . The soundtrack album is composed by ravi shankar sharma.

Raaz e dil unse chupaya na gaya – 2 Pyar ki aag kuch aisi bhadki – 2 Ek shola bhi dabaya na gaya – 2

Raaz e dil unse chupaya na gaya

Pahle pahle to mujhe Wo samajh bhi na sake Dil ko tadpate rahe Mujhako tarsate rahe Aankh se aankh kai baar mili – 2 Dil se dil phir bhi milaya na gaya Pyaar ki aag kuch aisi bhadki Ek shola bhi dabaya na gaya Raaz e dil unse chupaya na gaya

Aankh milate hi jhuki Baat hotho pe ruki Berukhi pyar bani Jeet bhi har bani Kar gai kaam mohabbat ki nazar – 2 Unse daaman bhi bachaya na gaya Pyaar ki aag kuch aisi bhadki – 2 Ek shola bhi dabaya na gaya Raaz e dil unse chupaya na gaya