(Diwaali ki raat piya ghar aane waale hain Sajan ghar aane waale hain Balam ghar aane waale hain) – 2
(Jhum-jhum kar diye ki baati Mere dil ko kare ishaara) – 2 (Jaan gayi main aane waala Hai tera saajan pyaara) – 2
Diwaali ki raat piya ghar aane waale hain Sajan ghar aane waale hain Balam ghar aane waale hain
(Jin galiyon se aaye balamawa Un galiyon mein nain bichhaayuun (Qadam-qadam par aashaaon ke Deep jalaati jaayuun) – 2
Diwaali ki raat piya ghar aane waale hain Sajan ghar aane waale hain Balam ghar aane waale hain
(Aaj raat aankhon-aankhon mein Kah dungi sab dil ki baatein) – 2 (Roz-roz kab aati hain ye Madur milan ki raatein) – 2
(Diwaali ki raat piya ghar aane waale hain Sajan ghar aane waale hain Balam ghar aane waale hain) – 2
| Movie / Album | Amar Kahani Lyrics |
| Language | Hindi |
| Singer's | Suraiya |