Aman kaa farishta kaha ja raha hai Chaman ro raha hai, machi hai duhayi – (2)
Aman kaa farishta kaha ja raha hai Chaman ro raha hai, machi hai duhayi – (2)
Bahot der jaga tha soya huwa hai Aman ke khaayalo me khoya huwa hai – (2) Yeh kaisi mohabbat, yeh kaisi judayi Chaman ro raha hai, machi hai duhayi – (2)
Yeh jiwan kee manjil pe chhuta hai hamse Koyi toh manao ke rutha hai hamse – (2) Najar mere bago ko kissne lagayi Chaman ro raha hai, machi hai duhayi – (2)
Aman kaa farishta kaha ja raha hai Chaman ro raha hai, machi hai duhayi – (3) Yeh nafrat ke jazbo me hargij naa behna Meri bat sun lo gale milke rehna Jalti chita se yeh aawaz aayi, aawaz aayi
| Movie / Album | Aman Lyrics |
| Language | Hindi |
| Lyricist | Hasrat Jaipuri |
| Singer's | Mohammad Rafi |
| Music Director | Shankar-Jaikishan |