Sare Mahafil Mera Imaan Beyiman Ho Gaya Song Lyrics - Ab Kya Hoga Lyrics

Sare Mahafil Mera Imaan Beyiman Ho Gaya Lyrics from Ab Kya Hoga Lyrics (hindi) sung by asha bhosle, mohammad rafi. This song is composed by usha khanna . Ab Kya Hoga Lyrics (hindi) movie and the songs were released in . Sare Mahafil Mera Imaan Beyiman Ho Gaya Lyrics from Ab Kya Hoga Lyrics: asha bhosle, mohammad rafi sings this hindi song for Ab Kya Hoga Lyrics film with music by usha khanna

Sare mahafil mera imaan beyiman ho gaya, yaro abb kya hoga Mera katil mere ghar men mera mehaman ho gaya, yaro abb kya hoga Wahi hoga jo manzure kuda hoga, yaro abb kya hoga

Jamin par panv mat rakhna, kahee maila naa ho jayey Naa jana chandani men yeh badan maila naa ho jayey Kudaya bhej de jannat se too apani baharo ko Sajade aasman too rah men inaki sitaro ko Shariq-e-jindagi hona tera ehasan ho gaya Yaro abb kya hoga

Nahee the ham kisi kabil jagah de dee hame dil men Kare ham shukriya kaise kee rakh lee laj mahafil men Naa phulo kee tamanna hai, naa chahat hai sitaro kee Tumhare pyar ke aage jarurat kya baharo kee Tumhari baho men rahana mera arman ho gaya Yaro abb kya hoga

Jamin kee tum nahee lagti, kaha se aayi ho bolo Meri jan husn pariyo kaa, kaha se laayi ho bolo Kuda ne khud banaya hai hame toh aapaki kaatir Gajhal mujhko banaya hai banakar aapako shayar Milan par janeman apna kuda hairan ho gaya, yaro abb kya hoga Sare mahafil mera………..