Oh…. Suno sajna, papihe ne… Suno sajna papihe ne kaha sabse pukaarke Sambhal jaao chaman waalo (2) Ke aaye din bahaar ke Suno sajna….suno sajna
Phoolo, ki daaliya bhi yehi geet gaa rahi hai Ghadiya piya milan ki (nazdeek aa rahi hai) -2 Hawaao ne jo chhede hain (2) Fasaane hain woh pyaar ke Sambhal jaao chaman waalo Ke aaye din bahaar ke Suno sajna….suno sajna
Dekho, na aise dekho, marzi hai kya tumhaari Bechain na kar na dena (timko kasam hamaari) -2 Hami dushman na ban jaaye (2) Kahi apni qaraar ke Sambhal jaao chaman waalo Ke aaye din bahaar ke Suno sajna….suno sajna
Baago main pad gaye hain, Saawan ke mast jhoole Aisa sama jo dekha (raahi bhi raah bhoole) -2 Ke jee chaaha yahi rakh dein (2) Umar saari guzaar ke Sambhal jaao chaman waalo Ke aaye din bahaar ke Suno sajna….suno sajna
| Movie / Album | Aaye Din Bahar Ke Lyrics |
| Language | Hindi |
| Singer's | Lata Mangeshkar |
Lyricist :
Singer : Lata Mangeshkar, Mahendra Kapoor