Yaade Lekar Nayi Purani Song Lyrics - Aaraish (1989) Lyrics

Following is the lyrics of 'Yaade Lekar Nayi Purani ' song from the hindi movie 'Aaraish (1989) Lyrics', the lyrics are written by sajid ajmeri, in the voice of singer chandan dass

Yaade lekar nai purani kagaj par – 2 Likhata hu mai roj kahani kagaj par Yaade lekar nai purani kagaj par – 2

Jate jate likhakar ek pyara sa naam – 2 Chhod gaya woh apni nishani kagaj par – 2 Likhata hu mai roj kahani kagaj par Yaade lekar nai purani kagaj par – 2

Phul sa ek lifafa aaya mere naam – 2 Mehek rahi thi uski jawani kagaj par – 2 Likhata hu mai roj kahani kagaj par Yaade lekar nai purani kagaj par – 2

Shayad khat likhate likhate woh roya tha – 2 Jagah jagah faila tha pani kagaj par – 2 Likhata hu mai roj kahani kagaj par Yaade lekar nai purani kagaj par – 2

Sajid padhta hu anjane chehro par – 2 Tasvire jani pehchani kagaj par – 2 Likhata hu mai roj kahani kagaj par Yaade lekar nai purani kagaj par – 2 Kagaj par kagaj par kagaj par