(Ishwar allah tere jahan mein Nafrat kyun hai jung hai kyun Tera dil to itna bada hai Insaan ka dil tang hai kyun) – 2
Kadam kadam par sarhad kyun hai Saari zameen jo teri hai Suraj ke pherey karti hai Phir kyun itni andheri hai Iss duniya ke daaman par Insaan ke lahoo ka rang hai kyun
Ishwar allah tere jahan mein Nafrat kyun hai jung hai kyun Tera dil to itna bada hai Insaan ka dil tang hai kyun
Goonj rahi hain kitni cheekhain Pyaar ki baatein kaun sooney Toot rahe hain kitney sapnay Inn ke tukde kaun chuney Dil ke darwazoon par taaley Taalon par ye zang hai kyun
Ishwar allah tere jahan mein Nafrat kyun hai jung hai kyun Tera dil to itna bada hai Insaan ka dil tang hai kyun
Movie / Album | 1947 Earth |
Language | Hindi |
Lyricist | Javed Akhtar |
Singer's | Anuradha Sriram, Sujatha Mohan |
Label | T-Series |
Year | 1998 |
Starring | Aamir Khan, Maia Sethna, Nandita Das |