Likhee hai yeh vidhaata ne, kismat garib kee Maatee ke mol bikatee hai, ajamat garib kee..
Yeh kaise duneeya waale hain, tan ujale hai mann kaale hain – (2) Yeh kaise duneeya waale hain
Jab kisee garib ke aangan me, koyee khilke kalee muskaatee hai – (2) Inn paapee duneeya waalo kee – (2) Aankho me hawas aa jaatee hai – (2) Yeh sukhee rotee ke badle, tan badan kharidane waale hain Yeh kaise duneeya waale hain
Jab laaj kee chudee tutee hai, sindur kaa rang pighalata hai – (2) Uss wakt garib ke sine me – (2) Ik jwaalaamukhee jal uthata hai – (2) Phir khud hee jubaan ban jaate hain, yeh hoto ke jo taale hain Yeh kaise duneeya waale hain
Bhagwaan bata kyon dhan waale, nirdhan par aisa julm kare – (2) Kyon ablaavo kee maang me yeh – (2) Sindur ke badle raakh bhare – (2) Yeh aap hee ijjat lutate hain, jo ijjat ke rakhwaale hain Yeh kaise duneeya waale hain, tan ujale hain mann kaale hain Yeh kaise duneeya waale hain
Movie / Album | Teen Chehere Lyrics |
Language | Hindi |
Singer's | Mohammad Rafi |