jo vaada kiya woh nibhaana padega roke zamaana chaahe roke khudaai tumko aana padega
tarasti nigaahon ne aawaz di hai mohabbat ki aahon ne awaaz di hai jaane hayaa jaane ada chhodo tarsaana tumko aana padega
ye maana hamein jaan se jaana padega par ye samajh lo tumne jab bhi pukaara humko aana padega…
hum apni wafaa pe na ilzaam lenge tumhe dil diya hai tumhe jaan bhi denge jab ishq ka sauda kiya, phir kya ghabraana humko aana padega
chamakte hain jab tak yeh chaand aur taare na tootenge ab keh do paimaan hamaare ek doosra jab de sadaa hoke dewaana humko aana padega
Movie / Album | Tajmahal (1963) |
Language | Hindi |
Lyricist | Sahir Ludhianvi |
Singer's | Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi |
Music Director | Roshan |
Label | Gaane Sune Ansune |
Year | 1963 |
Starring | Bina Rai, Pradeep Kumar |