Aaj Ki Taza Khabar Song Lyrics - Son Of India Lyrics

Aaj Ki Taza Khabar Lyrics from Son Of India Lyrics (hindi) sung by shanti mathur. This song is composed by naushad ali with lyrics penned by shakeel badayuni. Son Of India Lyrics (hindi) movie and the songs were released in . Aaj Ki Taza Khabar Lyrics from Son Of India Lyrics: shanti mathur sings this hindi song for Son Of India Lyrics film with music by naushad ali

Aaj ki taza khabar – 3 (Aao kaka ji idhar aao mama ji idhar Suno duniya ki khabar) – (2)

Mai tumhare liye dukh aur khushi bhi laya – 2 Dekh lo aaj ke insan ki halat kya hai Aaj ki duniya me iman ki kimat kya hai Log jite hai yaha duniya ko dhoka dekar

Aaj ki taza khabar – 3 Aao kaka ji idhar aao mama ji idhar Suno duniya ki khabar

Aaj ek bhakt ne bhagwan ka mandir luta Ek beiman ne masjid me churaya juta Kale bazar ki ek toli pulis ne dhar li Ek budhe ne jawan ladki se shadi kar li Ek ladka uda ek mem ka batua lekar

Aaj ki taza khabar – 3 Aao kaka ji idhar aao mama ji idhar Suno duniya ki khabar

Ek dhanvan ne aaj apna dharam chhod diya Aaj ek bhukhe ne khud dam tod diya Aaj tankha badi hai to majbur magan Kal ho jayega bazar me mehanga rashan Babu ji jayege daftar to pakode khakar

Aaj ki taza khabar – 3 Aao kaka ji idhar aao mama ji idhar Suno duniya ki khabar

Yu to ganpat bhi hai jo shakti hai Rahman bhi hai ye to batlao ke inme kahi Insan bhi hai Koi roti koi paise ko khuda kahta hai Har koi pap ke dhandhe me laga rahta hai Aaj bhagwan se badkar havaldar ka dar

Aaj ki taza khabar – 3 Aao kaka ji idhar aao mama ji idhar Suno duniya ki khabar

Aaj amerika ne atam ka udaya ghoda Rus ne aaj naya chand pe roket chhoda Kahi se aaj ka insan kahi pahuncha hai Phir bhi sachchai ke raste pe nahi pahuncha hai Kise malum ke ye aadmi jayega kidhar

Aaj ki taza khabar – 3 Aao kaka ji idhar aao mama ji idhar – 2 Suno duniya ki khabar Aao kaka ji idhar aao mama ji idhar Suno duniya ki khabar