Sare mehfil jo jala parwaana – (2) Kar gaya naam-e-wafa parwaana – (2) Waah waah waah… Shamma se sikhein wafa parwaana – (2) Yeh jali hai toh jala parwaana – (2) Waah waah waah waah bahot khub maashaah allaah
Marake bhi reh na saka shamma se dur – (2) Khaak ban banake uda parwaana – (2) Waah waah waah… kya baat hai Raat bhar shamma khadi jalati rahi – (2) Iss tarah jal na saka parwaana – (2) Waah waah waah waah bahot khub
Jaan de di wahin, kuchh der na ki – (2) Shamma se pehale jala parwaana – (2) Shamma ki aag mein jalane aaya – (2) Khud ka kyun khaak huwa parwaana – (3) Waah waah waah waah bahot khub maashaah allaah
Apani lau mein toh sabhi jalate hain – (2) Shamma ki lau mein jala parwaana – (3) Kar gaya naam-e-wafa parwaan Waah waah waah…. kya khub
| Movie / Album | Shama Parwana (1954) Lyrics |
| Language | Hindi |
| Singer's | Mohammad Rafi, Suraiya |
| Music Director | Husnlal-Bhagatram |