Ra: Parbaton ke pedon par shaam kaa baseraa hai Suramai ujaalaa hai, champai andheraa hai
Su: Donon vakt milate hain do dilon ki suurat se Aasman ne khush hoke rang saa bikheraa hai
Ra: Thahate-thahare paani men git sar-saraate hain Bhige-bhige jhonkon men khushabuon kaa deraa hai Parbaton ke pedon par
Su: Kyon na jazb ho jaaen is hasin nazaare men Roshani kaa jhuramat hai mastiyon kaa gheraa hai Parbaton ke pedon par
Ra: Ab kisi nazaare ki dil ko aarzuu kyon hai Jab se paa liyaa tum ko sab jahaan meraa hai
Do: Jab se paa liyaa tum ko sab jahaan meraa hai Parbaton ke pedon par
| Movie / Album | Shagun Lyrics |
| Language | Hindi |
| Singer's | Mohammad Rafi, Suman Kalyanpur |