Kar Karam Yaar Song Lyrics - Sawli Ladki - Pradeep Mehta Lyrics

Sawli Ladki - Pradeep Mehta Lyrics is a bollywood movie , this movie released in . The soundtrack album is composed by rajneesh mishra. . The song lyrics of Kar Karam Yaar are below

Bechain hoon samandar sa, na chain mujhako ik lamha – (2) Teri nazar ki chaahat hai, kar de tu ik nazar (Kar karam yaar -3 kar) – (2) Bechain hoon samandar sa

Tu hi junoon mera hai tu hi deewaana pan Tere liyehi tadpe hai, din raat mera mann Mushkil hai teri yaadon ko dil se bhula saku Rab ki jagah sanam tere sajade main karta hoon Sun le iltaja meri de duwa ko asar (Kar karam yaar -3 kar) – (2) Bechain hoon samandar sa

Rooh mein hai sharif tu, dhadkan mein hai basi Tu hi karaar mera tu meri bebasi Tere hi haathon mein jaanam hai meri jindagi Meri judaayi aansu hai, milana teri khushi Aa paas mere aaja tu, na bekaraar kar (Kar karam yaar -3 kar) – (2) Bechain hoon samandar sa, na chain mujhako ik lamha Teri nazar ki chaahat hai, kar de tu ik nazar (Kar karam yaar -3 kar) – (4)