Ek Sawaal Main Karun Song Lyrics - Sasural (1961) Lyrics

Ek Sawaal Main Karun Lyrics from Sasural (1961) Lyrics (hindi) sung by lata mangeshkar, mohammad rafi. This song is composed by shankar-jaikishan with lyrics penned by shailendra. Sasural (1961) Lyrics (hindi) movie and the songs were released in . Ek Sawaal Main Karun Lyrics from Sasural (1961) Lyrics: lata mangeshkar, mohammad rafi sings this hindi song for Sasural (1961) Lyrics film with music by shankar-jaikishan

(Ek sawaal main karun, ek sawaal tum karo – (2) Har sawaal ka sawaal hi jawaab ho) – (2) Ek sawaal main karun, ek sawaal tum karo

Pyaar ki bela saath sajan ka, phir kyon dil ghabaraaye Naihar se ghar jaati dulhan, kyon nainaa chhalkaaye Hai maalum ki jaana hoga, duniya ek saraay Phir kyon jaate waqt musaafir roye aur rulaaye – (2) Ek sawaal main karun, ek sawaal tum karo (Sargam)

Chaand ke maathe daag hai, phir bhi chaand ko laaj na aaye Usaka ghatata badhata chehara kyon sundar kahlaaye Kaajal se nainon ki shobha kyon duguni ho jaaye Gore gore gaal pe kaala til kyon mann ko bhaaye – (2) Ek sawaal main karun, ek sawaal tum karo

Ujiyaare mein jo parachhaayi pichhe pichhe aaye Wahi andhera hone par kyon saath chhod chhup jaaye Sukh mein kyon ghere rahate hain apane aur paraaye Buri ghadi mein kyon har koyi dekh ke bhi kataraaye -(2) Ek sawaal main karun, ek sawaal tum karo – (2) Har sawaal ka sawaal hi jawaab ho Ek sawaal main karun, ek sawaal tum karo – (2)