Main Teri Yaadon Mein Song Lyrics - Sanam Teri Kasam (2016)

Main Teri Yaadon Mein lyrics Sanam Teri Kasam (2016) is a bollywood movie, music produced by himesh reshammiya. It stars harsh vardhan rane, mawra hocane in main roles, this movie released in 2016. The soundtrack album is composed by himesh reshammiya. Produced by deepak mukut

Main teri yaadon mein khoya Main teri yaadon mein uljha Main teri yaadon mein khoya Main teri yaadon mein uljha

Teri yaadon ka hai samaa Tere bin main, main na rahaa Teri yaadon ka hai samaa Tere bin main, main na rahaa

Shaam-o-seher kaise Lagte zeher jaise Tere bagair aise o… Socha nahin kaise Hoon darbadar jaise Hogi basar aise o..

Khamoshiyan hai khata meri Tanhaiyan hai sazaa meri Samjha rahi hain ye dooriyan Teri meri nazdeekiyaan

Haan teri yaadon ke gham hain Hai teri yaadon ki khushiyan Haan teri yaadon ke gham hain Hai teri yaadon ki khushiyan

Tere bin jeena kya mera Tere bin main, main na raha Tere bin jeena kya mera Tere bin main, main na raha

Sabko khabar hai ye Meri seher hai tu Kya bekhabar hai tu o.. Itni zara si toh Haan hai tujhe kehni Kehde nazar se tu o..

Kya itni hai majbooriyan Kyun itni naa manzooriyan Ik mukhtasar si baat hai Phir zindagi bhar ka saath hai

Main teri yaadon mein jaaga Main teri yaadon mein soya Main teri yaadon mein jaaga Main teri yaadon mein soya

Tere bin jeena kya mera Tere bin main, main na raha Tere bin jeena kya mera Tere bin main, main na raha