Womaniya Song Lyrics - Saand Ki Aankh

Womaniya Song Lyrics from Saand Ki Aankh (Hindi) (2019) Womaniya Song Lyrics sung by Vishal Dadlani, Vishal Mishra.This song is composed by Vishal Mishra with lyrics penned by Raj Shekhar. Saand Ki Aankh (Hindi) (2019) movie stars Bhumi Pednekar, Taapsee Pannu and the songs were released in 2019.

Jai Hanuman gyan gunn sagar Jai kapis tihun lok ujaagar Jai Hanuman gyan gunn sagar Jai kapis tihun lok ujaagar Dekhegi yeh duniya yeh womaniya

Jab bhi yeh nikal jaaye Suraj bhi pighal jaaye Aasmaan ko neeche de jhuka

Apne pe aaye agar Pathar titar bitar Kisi ka bhi tode ye gumaan Dhun ki dhuandhaar ho Zid agar sawaar ho Tere jaise takaat dekho Yahan kisi aur mein kahan

Likh de nayi kahani Ab tu teri zubaani Bhool ke baatein purani Ke kaise kisi ne kab tha kya kaha

Likh de nayi kahani Ab tu teri zubaani Bhool ke baatein purani Ke kaise kisi ne kab tha kya kaha

Rokega gaaon jawani Par teri zid karari Tooti chaar diwari To chal padi hai ik nayi hawa

Sadabahaar hai tu Sabse chamakdaar hai Teri roshni mein lag raha hai Ab jawan jawan jahan

Jai Hanuman gyan gunn sagar Jai kapis tihun lok ujaagar Jai Hanuman gyan gunn sagar Jai kapis tihun lok ujaagar Dekhegi yeh duniya yeh womaniya