Dhuaan hai dhuaan zindagi, Ik khawab jal gaya, Taare jo chamka tha kal, Andheron mein ghul gaya,
Raat andheri andheri rahi, Ik subah mili thi kahin kho gayi, Baat adhuri adhuri rahi, Main jahan se chali thi wahin hoon khadi,
Kya gazab ka ye khel khela, Waqt ye kya kar gaya, Khawab banke aaya tha tu, Yaad banke reh gaya,
Inn andheri galiyon ka ab, Dikhta na koi sira, Tutke ke tu gir gaya, Ik tu sitara tha mera,
Roshni murjha gayi, Umeedein dhoondla gayi,
Raat andheri andheri rahi, Ik subah mili thi kahin kho gayi, Baat adhuri adhuri rahi, Main jahan se chali thi wahin hoon khadi,
Kya gazab ka ye khel khela, Waqt ye kya kar gaya, Khawab banke aaya tha tu, Yaad banke reh gaya,
Movie / Album | Saala Khadoos |
Language | Hindi |
Lyricist | Swanand Kirkire |
Singer's | Kalyani Nair |
Music Director | Santhosh Narayanan |
Label | T-Series |
Year | 2016 |
Starring | Madhavan, Nasir, Ritika Singh |