(Rab ne bhee mujhape sitam kya kiya hai – (2) Saare jaha kaa gham mujhe de diya hai) – (2) Rab ne bhee mujhape sitam kya kiya hai
Saawan naa barse bhaado jalaaye sandesa teraa koyee naa laaye – (2) Laaya tha mujhako dulhan banaake, kaahe gaya tu birhan banaake Tere bina mai kaise jiu (biraha ke aasu mai kaise piu -2) Rab ne bhee mujhape sitam kya kiya hai – (2) Saare jaha kaa ghum mujhe de diya hai Rab ne bhee mujhape sitam kya kiya hai
Majburiyo kee janjir naa de, aisee kisee ko takdir naa de – (2) Dekhe jaha bhee meree nigaahe viraan duniya sunsaan rahe Apanee kahaanee kaise kahu (hoke juda mai kaise rahu -2) Rab ne bhee mujhape sitam kya kiya hai – (2) Saare jaha kaa gum mujhe de diya hai Rab ne bhee mujhape sitam kya kiya hai
Meree khata ko tu maaf kar de, aa ja piya meraa insaaf kar de – (2) Yeh dard de du, yeh raat de du, tujhako teree mai saugaat de du Aisa naa ho ke mar jaanu mai (didaar teraa naa kar paau mai -2)
Rab ne bhee mujhape sitam kya kiya hai Saare jaha kaa gum mujhe de diya hai Rab ne bhee mujhape sitam kya kiya hai
Movie / Album | Saajan Ka Ghar Lyrics |
Language | Hindi |
Lyricist | Sameer |
Singer's | Alka Yagnik |
Music Director | Nadeem-Shravan |