Jaane De Song Lyrics - Qarib Qarib Singlle

Woh jo tha khwab saa Kya kahe jaane de Yeh jo hai kam se kam Yeh rahe ke jaane de (x2)

Kyun na rok kar khudko Ek mashwara kar le Magar jaane de Aadatan toh sochenge Hota yun toh kya hota Magar jaane de

Woh jo tha khwaab saa Kya kahe jaane de Yeh jo hai kam se kam Yeh rahe ke jaane de

Beeta jo beete na haye kyun! Aaye yoon ankhon mein Humne toh be-mann bhi socha na Kyun aaye tum baaton mein

Poochhte jo humse tum Jaane kya kya hum kehte Magar jaane de Aadatan toh sochenge Hota yun toh kya hota Magar jaane de

Woh jo tha khwaab saa Kya kahe jaane de Yeh jo hai kam se kam Yeh rahe ke jaane de

Aasaan nahi hai magar Jaana nahi ab udhar (x2)

Maloom hai jahan dard hai Wahi phir bhi kyun jaaye Wahi kashmakash wahi uljaane Wahi tees kyun laaye

Behtar toh yeh hota Hum mile hi na hota Magar jaane de Aadatan toh sochenge Hota yun toh kya hota Magar jaane de

Woh jo tha khwaab saa Kya kahe jaane de Yeh jo hai kam se kam Yeh rahein ke jaane de