Pehle Pyaar Ka Pehla Gham Song Lyrics - Pehle Pyaar Ka Pehla Gham

Pehle Pyaar Ka Pehla Gham Song Lyrics from Pehle Pyaar Ka Pehla Gham (Hindi) (2021) Pehle Pyaar Ka Pehla Gham Song Lyrics sung by Tulsi Kumar, Jubin Nautiyal.This song is composed by Manan Bhardwaj with lyrics penned by Javed Akhtar. Pehle Pyaar Ka Pehla Gham (Hindi) (2021) album stars Khushali Kumar, Parth Samthaan and the songs were released in 2021.

Bin bole yoon tera jaana Shayad na seh paaye hum Itni saare saasein hain par Ik bhi na le paaye hum

Aa bhi jaa na aaye to Sach much hi na mar jayein hum Pehle pyaar ka pehla gham Pehli baar hai aankhe nam

Pehle pyaar ka pehla gham Pehli baar hai aankhe nam Pehla hai tanhayi ka yeh mausam Arre aa bhi jao warna ro denge hum

Mera tann mann saara Tere rang mein rangaya Meri rooh mein tera ishq base Maine sudh budh khoi saara chain ganwaya

Tu jo sath nahi dhadkan na chale

Aa bhi jao warna ro denge hum Pehle pyaar ka pehla gham

Saj dhaj ke teri main raah takun Saj dhaj ke teri main raah takun Tareekh bata kab aaoge Baat dinon ki ya barson ki Kitna waqt lagaoge Aa bhi jao warna ro denge hum

Maana ke doori si hai Thodi majboori bhi hai Lekin ik din badlenge yeh mausam Haan tumko zyada rone na denge hum

Meri nind mein khwab mein sab mein tu Main teri hoon aur mujhme tu Hai yakeen khud se zyada tujhpe Bas itni araj se tod na tu

Aa bhi jao warna ro denge hum Pehle pyaar ka pehla gham