Pathar ke sanam tujhe hamne Mohabbat ka Khuda jaana Pathar ke sanam tujhe hamne Mohabbat ka Khuda jaana Badi bhool huyi arre hamne Yeh kya samjha, yeh kya jaana Pathar ke sanam
Chera tera dil mein liye
Chalte rahe angaron pe Tu ho kahin, tu ho kahin sajde kiye Hamne tere ruksaron ke Hum sa na ho koyi deewana Pathar ke sanam tujhe hamne Mohabbat ka Khuda jaana Pathar ke sanam Socha tha yeh badh jaayengi
Tanhaiyan jab raaton ki Rasta hamein, rasta hamein dikhlaayegi Sham-e-wafaa un haathon ki Thokar lagi tab pehchana Pathar ke sanam tujhe hamne Mohabbat ka Khuda jaana Pathar ke sanam
Aye kaash ke hoti khabar Toone kise thukraya hai Sheesha nahi, sheesha nahi, sagar nahi Mandir sa ik dil dhaya hai Tha aasman hai veerana
Pathar ke sanam tujhe hamne Mohabbat ka Khuda jaana Badi bhool huyi arre hamne Yeh kya samjha, yeh kya jaana Pathar ke sanam
Movie / Album | Patthar Ke Sanam |
Language | Hindi |
Lyricist | Majrooh Sultanpuri |
Singer's | Mohammed Rafi |
Music Director | Laxmikant Pyarelal |
Label | Gaane Sune Ansune |
Year | 1967 |
Starring | Manoj Kumar, Waheeda Rehman |