Meri nigaah ne kya kaam laajawaab kiya – (2) Unhi ko laakhon haseenon mein intkhaab kiya Meri nigaah ne kya
Woh aaye ghar mein bahaar aake ruk gayi jaise – (2) Fiza mein phul ki daali si jhuk gayi jaise Kuchh iss ada se kisi shokh ne hijaab kiya – (2) Meri nigaah ne kya
Woh julfein naaj khuli, khul ke kuchh dhalak si gayi Sitaarein tut pade, chaandani chhalak si gayi Jo maine chehara-e-jaana ko benaqaab kiya Meri nigaah ne kya kaam laajawaab kiya Meri nigaah ne kya
Yeh mere geet mein jo rang hai najaakat hai – (2) Yeh sab usi nigaah-e-naaj ki inaayat hai Ke mujhase jarre ko chamaka ke aaftaab kiya Meri nigaah ne kya kaan laajawaab kiya Unhi ko laakhon haseenon mein intkhaab kiya
| Movie / Album | Mohabbat Isko Kahete Hai (1965) Lyrics |
| Language | Hindi |
| Singer's | Mohammad Rafi |
| Music Director | Khaiyyam |