Main Rahoon Ya Na Rahoon Song Lyrics - Main Rahoon Ya Na Rahoon

Main rahoon ya na rahoon Tum mujh mein kahin baaki rehna Mujhe neend aaye jo aakhiri Tum khwabon mein aate rehna Bas itna hai tumse kehna (x4)

Main rahoon ya na rahoon Tum mujhme kahin baaki rehna

Kisi roz baarish jo aaye Samajh lena boondon mein main hoon Subah dhoop tumko sataaye Samajh lena kirno mein main hoon (x2)

Kuch kahun ya na kahun Tum mujhko sada sunte rehna

Bas itna hai tumse kehna (x4)

“Hazaar baar socha, keh doon

ki friend nahi meri girlfriend hai tu

Par sapne toot jaane ka darr

Kabhi dil se gaya hi nahi”

Hawaaon mein lipta hua main

Guzar jaaunga tumko chhu ke

Agar mann ho to rok lena

Thehar jaaunga in labon pe (x2)

Main dikhu ya na dikhu

Tum mujhko mehsoos karna

Bas itna hai tumse kehna (x4)

Hmm..

Bas itna hai tumse kehna (x4)

Main rahun ya na rahun

Tum mujh mein kahin baaki rehna..