Sham rangin huyee hai, tere aanchal kee tarah Surmayee rang saja hai, tere kajal kee tarah Pas ho tum mere dil ke, mere aanchal kee tarah Mere aakhon me base ho, mere kajal kee tarah
Aasama hain mere aramano ka darpan jaise Dil yu dhadake meraa, khan ke teraa kangan jaise Mast aaj hawaye, mere payal kee tarah
Meree hastee pe kabhee yu, koyee chhaya hee naa tha Tere najdik mai pehale, kabhee aaya hee naa tha Mai hu dharatee kee tarah, tum kisee badal kee tarah
Aisee rangin mulakat kaa matalab kya hain Inn chhalakate huye jajabat kaa matlab kya hain Aaj har dard bhula do, kisee pagal kee tarah
| Movie / Album | Kanoon Aur Mujrim Lyrics |
| Language | Hindi |
| Lyricist | Kaifi Azmi |
| Singer's | Suresh Wadkar, Usha Mangeshkar |
| Music Director | C Arjun |
Lyricist : Kaifi Azmi
Singer : Suresh Wadkar, Usha Mangeshkar