Jai Lakshami Maata – Aarti Song Lyrics - Jai Lakshami Maata Lyrics

Lyrics of 'Jai Lakshami Maata – Aarti ' song from the hindi movie 'Jai Lakshami Maata Lyrics',

Jai lakshmi mata maiya jai lakshmi mata Tumko nishdin sevat har vishnu vidhata Om jai lakshmi mata

Uma rama bharmani tumhi jag mata Surya chandrama dhyavat nard rishi gata Om jai lakshmi mata

Durga roop niranjani sukh sampati data Jo koi tum ko dhayata riddhi siddhi pata Om jai lakshmi mata

Tum patal nivasini tumhi shubh data Karam prabhav prakashini bhav nidhi ki trata Om jai lakshmi mata

Jis ghar mai tum rehti sub sadgun aata Sab sambhav ho jata mann nahi ghabrata Om jai lakshmi mata

Tum bin yagya na hove vastra no koi pata Khan pan ka vaibhav sab tumse pata Om jai lakshmi mata

Shubhgun mandir sundar shirodadhi jata Ratan chaturdhsh tum bin koi nahi pata Om jai lakshmi mata

Mahalakshmi ji ki aarti jo koi nar gata Urr anand samata pap utar jata Om jai lakshmi mata

Sithir char jagat bachaye shubh karam nar lata Ram pratap maiya ki shubh drushti chahta Om jai lakshmi mata