Jab Pyar Kisi Se Hota Hai Song Lyrics - Jab Pyar Kisi Se Hota Hai (1961) Lyrics

Lyrics of 'Jab Pyar Kisi Se Hota Hai ' song from the bollywood movie 'Jab Pyar Kisi Se Hota Hai (1961) Lyrics', in the voice of singer mohammad rafi,

Oh ho…, ah ha..

Oh jiya oh, jiya oh jiya kuchh bol do Arrey oh, dil ka parda khol do Oh jiya oh, jiya oh jiya kuchh bol do Arrey oh, dil ka parda khol do

Ahha ha ha ha Jab pyaar kisi se hota hai To dard sa dil mein hota hai Tum ek haseen ho laakhon mein Bhala paake tume koi khota hai Jiya oh, jiya oh jiya kuchh bol do

Nazron se kitne teer chale Chalne do jigar par jhelenge In pyaar ki ujli raahon par Hum jaana ki baazi khelenge In do naino ke sagar mein Koi dil ki naiya dubota hai Jiya oh, jiya oh jiya kuchh bol do Arrey oh, dil ka parda khol do…

Tum bhi to is aag mein jalte ho Chehre se bayaa ho jaata hain Har baat pe aahe bharte ho Har baar pe dil tharraata hai Jab dil pe chhuriyaan chalti hain Kab chain se koi sota hai Jiya oh, jiya oh jiya kuchh bol do Arrey oh, dil ka parda khol do