Ye Awaaz Hai Song Lyrics - Indu Sarkar

Main aankhon ke dar Milu na agar Mera ek pata Ye aawaz hai Ye aawaz hai

Na ho roshni Ho raaten ghani To chehra mera Ye aaawz hai

Mera aks ye Jo tasveer hai Lahar ne chhua to Dhul jaayega

Jo pahchan hai Mere naam se Wo ek naam Shoro mein Ghul jaayega Ghul jaayega

Ye hasti meri Agar dor hai To uska sira Ye aawaz hai Ye aawaz hai

Na ho roshni Ho raaten ghani To chehra mera Ye aaawz hai Ye aaawz hai

Hatheli teri Chhui to laga Ye duniya mujhi pe Meherbaan hai

Safar hai wahi Wahi manzilein To phir kyun lage Raah aasaan hai Raah aasaan hai

Teri fikr se Khanakti hai jo Wahi ik sadaa Ye aawaaz hai Ye aawaaz hai

Na ho roshni Hon raatein ghani To chehra mera Ye aawaaz hai Ye aawaaz hai

Agar dard ka Koi rang hai Main us rang mein Goonjtaa shor hoon

Mera khwaab thaa Rahoon khwaab mein Magar main haqeeqat mein Kuchh aur hoon Kuchh aur hoon

Kisi gam ka ye ab Ilzaam de Khudi se khafaa Ye aawaaz hai Ye aawaaz hai

Na ho roshni Ho raatein ghani To chehra mera Ye aawaaz hai Ye aawaaz hai

Ye aandhi mujhe Giraati rahe Ise kya gumaan hai Main dar jaaungi

Lo sau baar tum Bikhero mujhe Hazaaron gunaa main Bikhar jaaungi Nikhar jaaungi

Jo toote magar Na badle bayaan Wahi aaina Ye aawaaz hai Ye aawaaz hai

Na ho roshni Hon raatein ghani To chehra mera Ye aawaaz hai Ye aawaaz hai

Andhera bhi hai Ujaala bhi hai Yehi to seher ki Shuruaat hai

Parinda akelaa hai Aakaash mein Magar khush hai Wo aaj aazaad hai Aaj aazaad hai…

Jahaan khatm hai Waheen se shuru Nayi daastaan Ye aawaaz hai Ye aawaaz hai

Na ho roshni Hon raatein ghani To chehra mera Ye aawaaz hai Ye aawaaz hai

Main aankhon ke dar Milu na agar Mera ek pata Ye aawaz hai Ye aawaz hai